Best Motivational Speaker In INDIA


Best Motivational Speaker In INDIA:Him-eesh Madaan

Hello my lovely readers.. How’s everything going??

Today I want to share with you a Best Motivational Speaker story of Him-eesh Madaan.This story tells you how a man with no formal education became one of the Best Motivational Speaker on Youtube.


Best Motivational Speaker In INDIA

Best Motivational Speaker on youtube



Hai josh toh har rasta hai asaan| Him-eesh Madaan|Best Motivational Speaker

Him-eesh Madaan,one of the most famous youtubers is the Best Motivational Speaker with over 2 million subscribers.He has learned a lot from his father.He says always “Nothing is impossible in life”.Him-eesh Madaan who never attended his college is now the Best Motivational Speaker.

 Inspirational Story of Best motivational speaker youtube:

Him-eesh Madaan ki kahani unhi ki zubani

Kyu darna ki zindagi mein kya hoga,
Kuch na hoga toh tazurba hoga

Jb mein 12 saal ka tha tb humari family par ek aisi raat ayi jo subha hone ka naam nhi le rhi thi but bahut accha time tha.Bahut problem thi bahut mushkile thi,bahut challenges the but time bahut accha tha.Khana kha rahe hote the yeh bhi nhi pta hota tha kal khana kha payge ya nahi but bahut accha time tha.Uss time mere papa ke pass paisa nahi tha,resources nahi the.Woh humme woh bachpan nahi de pa rhe the jo uss umar mein milna chahyiye tha.Woh pocket money ,facility nhi thi,kahi ghumne nahi jate the.Par mere father ne ek acchi cheez di who tha vishwas aur uski wajah se aaj sb  aagya.Jb bhi koi sapna ya idea le kr apne papa ke pass jata tha who ek baat khte the ki tu kar yaar jo hoga dekha jayga.

Jb mein 17 saal ka tha tb maine ek decision liya ki mein college nhi karuga.Meri age ke logg jb tak graduation ya post graduation krege yeh vishwas tha ki mein bahut kuch kar luga.Yeh mera ek decision tha ki andar se awaaz ayi tu kar yaar jo hoga dekha jyga.!8 se 24 saal ki age ko mein chahe toh ghumne phirne mein nikal sakta tha,sim card ya dil tuttne ka mazza liya ja skta tha,phone par babu shona kar skta tha but maine uss age mein khud ko bnane mein lgaya,pdhne mein lgaya aur tarzurbein lene mein lagaya.

Bahut saare ups n downs ko dekh kar,job kar ke ,apna business mein loss dekh kar maine apne skills ko rich kiya.

Meri life mein ek incident huwa jisne meri life hi badal di.Ek din mein GT road se kahi ja rha tha apni coporate team ke saath.Achanak se ek bus se ldke ne jump maar di.Bus driver de break maari jiski wajah se ladka bach gya usse hospital le kr gye treatment huwa aur woh bacch gya.Usne Bus mein note chhoda uspr likha tha maa mujhe maaf krna.Uss time maine socha ki uske mind pr kitna stress hoga jiski wajah se usne yh step uthaya.

Phir maine socha ki jo maine apni life mein sikha hai ,jo experience kiya usse share kia jaye.India ke konne konne tak yeh baate pouchni chyiye,phir socha kaise kia jaye mein baat kar rha hu 2012 ki.Jb socha toh jawab mila sbse bada medium hai internet.Maine apni company ko idea btaya toh unhone reject kar diya,kisi ne mera saath nhi diya mein akela tha.

“Koi saath na de mera chalna mujhe ata hai,
Har aag se waakeef hu jalna mujhe ata hai”

Next day resign kar diya,kuch savings thi meri jo car lene ke liye bachaye the kyuki mere dosto ke pass car thi toh mera b sapna tha car leyge.Woh saari savings khud ko survive krane mein lga di .Laptop,lights,software,camera le liya isse zyda pasie nhi the.Tu Kar yaar ki awaz mere saath thi ,editing,vfx ,special effects seekhe,camera chalana seekha har cheez seekhi phir khud ko room mein band kar liya.

6 months mein room mein lock tha jo kuch bhi maine apni life se seekha tha usse videos mein convert kar ke internet par share krna shuru kiya.Loggo tk baatein pouchni shuru hui,zindagiya badlani shuuru hui.Dheere dheere kadam bdata gya ,kafeele bnata gya aur training ko naya dimension dene ki koshish kari unki language mein dene ki koshish kari. Yeh ussi mehnat ka fal hai ki aap loggo ka pyaar mila  unhone ne support kiya.ussi ki wajah se aaj 22 lakh members meri youtube family mein hai.

Message From Him-eesh Madaan: Best Motivational Speaker

Jo sawaal mein khud se subha karta hu wohi sawaal aap khud se subha puchiye aur woh sawaal hai ki mein aaj ka din darr darr ke bitaane wala hu ya karr karr ke bitaane wala hu.

“Darr ko chhota nhi kiya ja skta par himmat ko bada kiya ja skta hai.”
“Zindagi darr darrr ke nahi,kar kar ke jiyo”

Him-eesh Madaan:Best Motivational Speaker Youtube Channel:Him-eesh Madaan

It will keep uploading motivational videos in hindi for Success in Life.His videos include topics like inspirational & motivational speech in hindi,positive thinking videos and personality development training videos.

Him-eesh Madaan dedicated his youtube channel to other Best Motivational Speakers like Sandeep Maheshwari,Shiv Khera, TS Madaan ,Vivek Bindra and so on.

Unknown Facts About Best Motivational Speaker:Him-eesh Madaan

  • Before starting his career as a motivational speaker , he has work in a small travel company.
  • He has also wrote a book-“Be Awesome Live Awesome
  • He has inspired from more than 1 lakh peoples.
  • He is also an entrepreneur who runs web & publishes business.
  • Stay connected with us for more motivational and inspirational
  • Real Stories.

Thanks for visiting and reading……!!
Do you know your one follow encourage us to give more article to you.So don’t forget follow us.

Like!!Share!!Subscribe!!

Tell me your views  guys about this article in the comments…..

   sitaro ko aankho mein mehfuss rakh lo,
sitaro ko aankho mein mehfuss rakh lo,
bahut durr tak raat hi raat hogi,
   blogger hai hum bhi aur blogger
ya reader ho tum bhi
  aaj ke liye itna hi new post mein phir mulakaat hogi.

Comments

  1. Nice blog bro..Keep it up
    and write more motivational stories .
    I m waiting...

    ReplyDelete
  2. Thanks for sharing this blog. If you want to write other motivational stories on Famous Motivational Speaker in India, You can write on Mr. Naseer Khan. He is the best motivational and inspirational speaker in India.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Real Life Inspirational Story For Students :Abby Viral

Keys of Success in life

Motivational quotes for life